Patharoan ki basti mai karobar sheeshay ka
Koi b nahi krta aitbar sheeshy ka
Kaanch se bany putlay thori door chalty hein
Chaar din ka hota hai ye khumar sheeshay ka
Bun sanwar k harjai aaj ghar se nikla hai
Janey kon hota hai phir shikar sheeshay ka
Dil k aazmany ko ek sung kafi hai
Bar bar nahi lena imtehan sheeshay ka
is zamany mai aarzi hain sub rishtey
Hum ne b banaya tha aik yaar sheeshay ka....
**********************************************
Ab wo toofan hein na wo shor hawaon jesa.
DIL ka aalam hai tere baad khalaaon jesa.
Kaash duniya mere ehsaas ko wapis kar day.
Khamoshi ka wahi andaaz, sadaaon jesa.
Paas reh kar bhi hamesha wo boht door mila.
Us ka andaz-e-taghaful tha anaaon jesa.
Phir teri yaad k mosam ne jgaye mehshar.
Phir mere DIL mein utha shor hawaaon jesa.
Baar'ha khawab mn pa kr mujhy piyasa MOHSIN.
Us ki zulfon ne kiya raqs ghataaon jesa..
* J@@Ñ@ey *